Hum tanha hain be'kaar nahin 
Koi duniya aur basaata hai 
Koi duniya chor kay jaata hai 
Yeh duniya bhi kiya duniya hai
Ik pal main sab kho jaata hai 
Koi yaad kare koi yaad aye
Par kab tak dil ko behlaye
Jo saath na apnay chal paye
Dil kiyon un ko pachtaa'ta hai 
Ik pal main sab kuch ko jaata hai 
Hum kiyon kar phir se pyaar kar lain 
Hum tanha hain be'kaar nahin 
Ik umar ganwaai hai hum ne 
Ab aur waqat dar'kaar nahin 
Yeh dour hamain sikhlaata hai 
Ik pal main sab kho jaata hai  
 
 
 
 
          
      
 
  
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
No comments:
Post a Comment