Baarison kay mousamon main 
Dil ki sar'zameeno par 
Gard kiyon bikharti hai 
IS tarah kay mousam main phool kiyon nahin khiltay 
Log kiyon nahin miltay 
Kiyon faqat yeh tanhai saath saath rehti hai 
Kiyon bicharnay walon ki yaad saath saath rehti hai 
Itni tez baarish se dil kay aainay par 
Aks kiyon nahin dhultay ?
Zakham kiyon nahin mit'tay ? neend kiyon nahin aati 
Baarishon kay mousam main aankhain kiyon barasti hain ?
Ashk kiyon nahin thamtay ?
Subha kiyon nahin hoti ?
Raat kiyon nahin dhalti ? 
No comments:
Post a Comment