Kabhi teri rafaqat se nikalna hi nahin mumkin 
Kabhi daaman churra lena bhout asaan lagta hai 
Kabhi tum roothay ho to ajab mushkil si parti hai 
Kabhi tujh ko mana lena bhout asaan lagta hai 
Kabhi samjha karo kuch faisalay halaat kartay hain 
Kabhi waaday nibha lena bhout asaan lagta hai 
KAbhi kuch din tumharay bin guzartay hi nahin lakin 
Kabhi muddat bita dena bhout asaan lagta hai 
No comments:
Post a Comment