MAin hoon ya tu hai , khud se gurazan jaisay 
Mere aagay koi saya hai , kharaman jaisay 
Tujh se pehlay to bahaaron ka , yeh andaaz na tha 
Phool youn khiltay hain , Jalta ho gulistaan jaisay 
Youn teri yaad se hota hai , ujaala dil main 
Chandani main chamak uthta hai , baiyabaan jaisay 
Dil main roshan hai , abhi tak tere wadon kay chragh 
Toot'ti raat ki tarah ho, farozan jaisay 
Waqat badla par , na badla mera miyaar-e-wafa 
Aandiyon main , sar-e-kohsaar chragan jaisay 
Zakham barhaata hai zamana, magar is tarah 
Si raha ho koi , phoolon kay giribaan jaisay 
No comments:
Post a Comment