Lahoo ronay se darta hoon , juda honay se darta hoon 
Meri aankhain bata'ti hain keh main ab sonay se darta hoon 
Meri ungli pakar lena mujhay tanha nahin karna 
Yeh duniya aik mela hai tumhain khonay se darta hoon 
Jo hansti hoon to kiyon palkon kay goshay bheeg jaatay hain 
Tumhain maloom hai main is tarah ronay se darta hoon 
Yeh jab se khwaab dekha hai tum mujhay chor jaao gay 
Main ab darta hoon khwaabon se main ab sonay se darta hoon 
No comments:
Post a Comment