Mohabbat aik shajjar hai 
Mohabbat aik shajjar hai 
Aur shajjar ko is se kiya matlab 
Keh is ki chaayon main koi 
Thaka haara musaafir aa kay baitha hai 
Ab is ka rang kiya hai 
Nassal kaisi hai 
Kahan se aya hai 
Issay kis simat jaana hai 
Shajar ka kaam to bas 
Chaaon dena aur dhoop sehna hai 
 
 
 
          
      
 
  
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
No comments:
Post a Comment