Apna ghar chor kay hum log wahan tak ponchaye
Subh-e-farda ki kiran bhi na jahaan tak ponchay 
Main ne aankhon main chupa rakaye hain kuch aur chragh
Roshni subha ki shayed na yahaan tak ponchaye
By kahay baat samjh lo to munasib ho ga 
Is se pehlay keh yahi baat zubaan tak ponchaye
Tum ne hum jaisay musaafir bhi na dekhaye hon gay 
Jo bahaaron se chalay aur khizaan tak ponchaye
Aaj pindaar-e-tamana ka fasoon toot gaya 
Chand kam zarf gillay nok-e-zubaan tak ponchaye
No comments:
Post a Comment