Ab to mumkin hi nahin un se mulaqaat wasi
Ab to urooj pe poonchi hai us ki zaat wasi
Wohi waday hain aur rasmon ki zanjeerain baaqi
Kab badalti hain zamanay ki riwayaat wasi
Aik woh din thay keh ek doosray ko sochtay thay hum 
Ab miltay nahin dono kay khiyalaat wasi 
Meri her subha ka aaghaaz teray naam se ho 
Teri yaadon main katti meri her ik raat wasi
Tum kahan aur meray pyaar ka miyaar kahan 
Woh kitni saadgi se kar gaya yeh baat wasi
No comments:
Post a Comment