Kabhi kisi ko mukamal jahaan nahin milta 
Kahin zameen to kahin asmaan nahin milta 

Jissay bhi dekho woh apnay aap main gum hai 
Zubaan mili hai magar hum' zubaan nahin milta 
Kabhi kisi ko mukamal jahaan nahin milta 
Bhujha saka hai kon bhala waqat kay sholay 
YEh aisi aag hai jis main dhuwaan nahin milta 
Kabhi kisi ko mukamal jahaan nahin milta 
Teray jahaan main aisa nahin keh pyaar na ho 
Jahaan umeed ho is ki wahaan nahin milta 
Kabhi kisi ko mukamal jahaan nahin milta 
Kahin zameen to kahin asmaan nahin milta  
No comments:
Post a Comment