Mohabbat phool hai jana
Kaho to phool ban jaaon
Tumhari zindagi ka ik 
Haseen asool ban jaaon 
Suna hai rait pe chal kay 
Tum aksar mehak jaatay ho 
Kaho to ab kay baar main 
Zameen ki dhool ban jaaon 
Bhout na'yaab hotay hain 
Jinhain tum apna kehtay ho 
Ijaazat do keh main bhi 
Is qadar anmol ban jaaon  
No comments:
Post a Comment