Uth to jaatay teri mehfil-e-shab se jaanan
Teri aankhon main jaltay deep mujhay roktay rahay
Teri masoom adaa'on ka sehar kuch is tarah taari raha 
Haathon main lay kar bhi tera haath khatain roktay rahay 
Paich-o-kham teri zulfon kay be'chain kiya rahay 
Chah kar bhi sulajnay ki khwaishain roktay rahay 
Bhout armaan hai teri basti se guzrain kabhi 
Kuch adab kuch lihaaz magar raahain roktay rahay 
Teray aanchal main chuppi hain kai bahaarain 
Hum to jeewan ki teri khizaan roktay rahay 
Yaqeen aa jaye meri jafaoon pe tujhay 
Isi koshish main jaanan apni wafa'ain roktay rahay 
Jurm to aisay thay keh sooli charh jaatay Qais 
Kaamptay lab kisi kay magar sazaein roktay rahay  
No comments:
Post a Comment