Ek tasveer jo kamray main lagai hui hai
Ghar ki tooti hui dewaar chupai hui hai 
Dhol ka shor qayamat hai keh teri baraat 
Doosray gaa'on se is gaa'on main ayi hui hai 
Aankh pe sheesha lagaya hai keh mehfooz rahay 
Teri tasveer jo paani main banai hui hai 
Takhat aur taaj to paa'on main paray rehtay hain 
Woh gadai teray darwaish ne pai hui hai 
Qabar par deep na rakh naam ka kutba na laga 
Hum ne mushkil se yeh tanhai kamai hai 
No comments:
Post a Comment