Dil kay veranay main ek shama hai ab tak roshan 
Koi parwana magar ab na idher aaye ga 
Zindagi beet gayi pyaar main jaltay jaltay 
Koi umeed bar ayi na , na koi baat bani 
Jag'magaya na sitara koi armanoo ka 
Hum ne dil ko bhi jalaya to siyah raat bani 
Dil jalon par koi mehshar sa guzar jaye ga 
Jin ki dharkan main suni 
Hum ne wafaon ki sada 
Aakhar-e-kaar wohi ban gaye 
Pathar kay sanam 
Na saji hathon pe mehandi 
Na baji shynai 
Ab to karta huwa apni hi wafa ka maatam 
Piyar maksal ki taraf khaak basar jaye ga 
Kitnay gaatay huwey armanoo ki barsat kay baad 
Aas ki jheel main lahraee thi kuch neel kanwal 
Kya khabar thi keh woh mehfil hi ujar jaye gi 
Jis main gaa'ei thi kabhi hum ne mohabbat ki ghazal 
Apna her naghma flahoon main bikhar jaye ga 
Kitna behis huwa kartay nahin ehal-e-wafa 
JAnay kiya soch kay toheen-e-wafa ki tu ne 
Koi jhonka bhi jissay chu na saka teray bagahir 
Apnay hathon se wohi shama bujha di tu ne 
Kiya khabar thi teray ehsaas bhi mar jayein gay 
BAn kay parwana kabhi tu na idher aaye ga 
No comments:
Post a Comment