Garmi-e-hasrat-e-na'kaam se jal jatay hain 
Hum chraghon ki tarah shaam se jal jatay hain 
Shamma jalti hai jis aag main nu'maish ki khatar 
Hum usi aag main Gum'naam se jal jatay hain 
Khud'numaai to nahin shaiwa-e-Arbaab-e-wafa 
Jin ko jalna ho woh armaan se jal jatay hain 
Bach nikaltay hain agar Aatish-e-sayaal se hum 
Shola-e-Aariz-e-gul'faam se jal jatay hain 
Jab bhi aata hai mera naam teray naam kay saath
Na janay kiyon log meray naam se jal jatay hain 
No comments:
Post a Comment