Teri zulfon se jugnoo iktisaab-e-noor karta hai 
Yeh banjaara isi ban main thakawat door karta hai 
Khirad jo kuch bhi karti hai hadood-e-rasam kay andar 
Junoon jo kuch bhi karta hai bila dastoor karta hai 
Jo khair'andaish bhi dono ka hai woh kis sakhawat se 
Mujhay bad'naam karta hai , tumhain mashoor karta hai 
Mujhay toba ka poora ajar milta hai ussi Saa'at 
Koi zohra jabeen peenay pe jab majboor karta hai 
Woh hans kar baat hi kar lain to kaafi se ziyada hai
Pari'zaadon se jhagrra kab koi mazdoor karta hai 
No comments:
Post a Comment