Choom leti hain latak kar kabhi chehra kabhi lab 
Tum ne zulfon ko bhout sar pe charha rakha hai 
Chashm-e-saqi ne yeh kya khail racha rakha hai ?
Koi zahid koi meh'khuar bana rakha hai 
Jo phansa phir na us ne kabhi rehaai mangi 
Zulf teri ne bhi ajab jaal bicha rakha hai 
Ab main samjha teray ruksaar pe til ka matlab 
Doulat-e-husan pe darbaan bitha rakha hai 
Dil yeh chahye keh tu kabhi badnaam na ho 
Dekh zikar tera hai magar naam chupa rakha hai 
Ishq ho keh husan ho , dono ka asar yaksan hai
Cheez ik hai magar naam juda rakha hai 
Teri makh'moor nigahon se hai ronaq sari 
Warna saqi teray meh'khanay main kiya rakha hai 

No comments:
Post a Comment