Dil-o-nazar ki ibaadatein hon to Aanso'on ko imaam karna
Samandaron kay safar pe lazim hai paniyon se kalaam karna 
Jo sajda gaahein talaash karnay lagay to umrain guzaar do gay 
Khud apnay saaye ki saff bichana sajood-o-qayaam karna 
Main karwaan se bichar kar Andhi musaafaton kay azaab main hoon 
Mera bhi ae saarban-e-shams-o-qamar koi intizaam karna 
Jahan dil main jo roshni hai woh tera hissa , woh tera qissa
Jo zulmatein hain , malamatein hain woh sab ki sab meray naam karna 
Yeh taza lafzon kay saaray guldastay sookh jayein gay jab woh aaye
Tum un ki aamad pe ehtiyatein kuch aur bhi intazaam karna
No comments:
Post a Comment