Ja chuka hai woh , us ka safar bhool ja 
Khaak palkon se dho , rahguzar bhool ja 
Ajnabi ban kay dekh us ki tasveer ko 
Yaad rakhnay kay saray hunar bhool ja 
Phir se abaad kar dil ki patal ko 
US ka gaaon , gali, baam-o-dar bhool ja
Orh lay khud pe duniya ki sab roniqein 
Zid na kar , ab ussay chasham-e-tar bhool ja
Yaad rakh us ki baaton kay sab zaiqay 
Us kay wadon ki lazzat magar bhool  ja 
Palkon palkon bicha pyaas ki teergi
Aankh main chandani kay bhanwar bhool ja 
US kay aanay na aanay se ab dar guzar 
Apnay honay na honay ka dar bhool ja 
Khud se wabasta ruswaiyon ki tarah 
US ki shohrat ki taza khabar bhool ja 
Ab to youn hi keh mohsin her aik yaar ko 
Lamha bhar kay liye yaad kar, bhool ja 
No comments:
Post a Comment