Kamal-e-zabt to main khud bhi azmaon gi 
MAin apnay haath se us ki dulhan sajaon gi 
Supurd kar kay usay chandani kay haathon 
Main apnay ghar kay andheron ko loat aayon gi 
Badan kay karb ko woh bhi samjh na paye ga 
Main dil main rahon gi aankhon main muskuraon gi 
Woh kya gaya keh rafaqat kay saray lutf gaye 
MAin kis se rooth sakon gi kaisay manaon gi
Woh ik rishta-e-be'naam bhi nahin lakin 
MAin ab bhi us kay ishaaron pe sar jhuka'on gi
Ab us ka fun kisi aur se mansoob hua 
MAin kisi ki nazam   akelay main gun'gunaaon gi 
Samaton main ghannay junglon ki saansain hain 
Main ab kabhi teri awaz sun na paaon gi  
No comments:
Post a Comment