Laakh masmaar kiye jayein zamanay walay 
Aa hi jatay hain naya shaher basanay walay 
Is ki zid par woh kabhi khud bhi to aa saktay hain 
Yeh kahan jaantay hain , aag laganay walay 
Ab to sawan main bhi barood barasta hai 
Ab woh mousam nahin baarish main nahanay walay 
Sar se jaata hi nahin wada-e-farwa ka junoon
Mar gaye adal ki zanjeer hilaanay walay 
Hum na kehtay thay tujhay waqat bhout zaalim hai 
Kya huye , ab woh teray naaz uthanay walay 
Saaye main baithi hui nasal ko maloom nahin
Dhoop ki nazar huye pairr laganay walay 
Ghar main dewaarein hain aur sehan main aankhein hain
Itnay azaad nahin wada nibhanay walay 
No comments:
Post a Comment