Nadi ka pani behta jaa raha hai 
Ya phir aanchal tera lehraa raha hai 
Fiza main kaisi hai khushboo si phaili 
Woh shayed mujh ko sochay jaa raha hai 
Meri Aankhon main pattay urr rahay hain 
Koi patt jhar ka mousam aa raha hai 
Suna hai raat bhar rota raha woh 
Idher bhi aik sanaata raha hai 
Ajab hain teri duniya kay yeh melay
Yahan her shakhs hi tanha raha hai 
Bhout veeran hai yeh dil ki galiyan 
YAhan ik shor sa barpaa raha hai 
Woh koi ajnabi khushboo ka jhonka 
Mera sara badan mehak raha hai 
Koi rootha hai kuch youn mujh se 
Zamana mujh se rootha jaa raha hai 
No comments:
Post a Comment