Samajhtay thay magar phir bhi na rakhi dooriyan hum ne 
Chiraghon ko jalaanay main jalaa li ungliyaan hum ne 
Koi titli hamaray paas aati bhi to kya aati 
Sajaye umar bhar kaaghaz kay phool aur pattiyaan hum ne 
Youn hi ghut ghut kay mar jaana hamein manzoor tha lakin 
Kisi kam zarf par zaahir na ki majbooriyaan hum ne 
Hum uss mehfil main bas ik baar sach bolay thay 
Zubaan par umr bhar mehsoos chingariyaan hum ne  
No comments:
Post a Comment