Suna tha jashan ho ga aur ghar ghar roshni ho gi 
Nahin maloom yeh taqreeb kab tak multavi ho gi 
Taluh-e-subh-e-sadiq ki chamak kuch aur hota hai 
Tumhain dhoka hua ho ga kahin bijli giri ho gi 
Meray jurm-e-wafa ka faisala kuch iss tarah ho ga 
Saza ka hukam fori aur sama'at sar'sari ho gi 
Yeh be'maqsad safar ab khatam ho jaye to acha hai 
Na tum se reh'bari ho gi na hum se pairwi ho gi 
Hamein darbaar-e-saahil tak na lay jaao to acha hai 
Hamara kuch na jaye ga , tumhain sharmindagi ho gi  
No comments:
Post a Comment