Dil dharaknay ka sabab yaad aaya 
Woh teri yaad thi ab yaad aaya 
Aaj mushkil tha sambhalna ae dost
Tu museebat main ajab yaad aaya 
Din guzara tha bari mushkil se 
Phir tera wada-e-shab yaad aaya 
Tera bhoola hua paimaan-e-wafa 
Mar rahay hain agar ab yaad aaya 
Haal-e-dil hum bhu sunaatay lakin 
Jab woh rukhsat hua tab yaad aaya 
Baith kay saya-e-gul main Nasir
Hum bhout roye woh jab yaad aaya  
No comments:
Post a Comment