Iss se pehlay keh mohabbat bhi khasaara ho jaye 
Aayo mil baithein keh yeh waqt hamara ho jaye
Aik do din main bhula do to yahi behtar hai 
Kahin aisa na ho jaan se pyaara ho jaye
Ishq hai koi baazi nahin kheli hum ne 
Khail lagta hai to aayo dobaara ho jaye
Hum ne kal raat khuda se yeh duaein ki hain 
Keh tum jis shakhs ko chaho woh tumhara ho jaye
Woh mohabbat kay samandar main bhanwar ban kay mila 
Meri khwaish hai kahin door kinaara ho jaye

No comments:
Post a Comment