Jaltay honton pe tabasum jo machalta hai kabhi 
Zakham dhul jatay hain sawan jo barasta hai koi 
Main na sochon main ne traashay hain khad-o-kaal teray 
Meray baaray main bhi bata tu ne socha hai kabhi 
Chartay suraj se kabhi tu ne milaai hai nazar 
Tu ne kinaaron ki taraf ghour se dekha hai kabhi 
Log pathar main khilaatay hain umeedon kay gulaab 
Youn bhi mumkin hai bata aisa bhi hota hai kabhi 
Tu ne samjha tha keh main loat kay aa jaaon ga 
Aankh se bichra hua ashk bhi lota hai kabhi 
No comments:
Post a Comment