Na jee bhar kay dekha na kuch baat ki 
Bari Aarzoo thi mulaqaat ki 
Shab-e-hijar tak ko yeh tash'weesh hai 
Musafir ne janay kahan raat ki 
Muqadar meri chasham par Aab ka 
Barasti hui raat barsaat ki 
Ujaalon ki pariyaan naha'nay lagein 
Nadi gun'gunaati khayalaat ki 
Main chup tha to chalti hawa ruk gayi 
Zabaan sab samjhtay hain jazbaat ki 
Kai saal se kuch khabar hi nahin  
Kahan din guzara kahan raat ki 
No comments:
Post a Comment