Udaas aur ziyada kahin na ho jayein 
Faraz` Anjuman-e-dost se chalo jayein 
Na ajnabi na musafir na shaher walay hain 
Koi pukaro keh hum bhi kisi kay ho jayein 
Jo sadmay hum pe guzarnay hain woh to guzrain gay 
Magar yeh aap ko gham kiyon hai , aap to jayein 
Ulajtay hain teray sodaiyon se ehal-e-khird 
Yeh sada loh bhi pagal kahin na ho jayein 
Zamana apni parshaniyon main khoya hai 
Chalo keh manzil-e-jaana'n ko dosto jayein 
Shab-e-firaaq to kat'ti nazar nahin aati 
Khayal-e-yaar main aao Faraz so jayein 
No comments:
Post a Comment