Qaid-e-tasawuraat main muddat guzar gayi 
Saqi gham-e-hayat main muddat guzar gayi 
Mujh ko shakist-e-jaam kay naghmon se wasta
Meh'khana-e-sabaat main muddat guzar gayi 
Kuch bhi nahin hai gaiso-e-kham'daar kay siwa
Tafseer-e-kainaat main muddat guzar gayi 
Paband-e-harf'daar-o-rasan daastan-e-ishq
Arz-o-guzaar'shaat main muddat guzar gayi 
Roothay to aur ban gaye tasveer-e-iltafaat
Kaif-e-nawaz'shaat main muddat guzar gayi 
Her haadsa hayat ki ru'daad ban gaya
Duniya-e-haadsaat main muddat guzar gayi 
"Saghar" kahan majaal keh aankhein milaein hum
Ruswaiyan hain ghaat main muddat guzar gayi 
No comments:
Post a Comment