Taron se mera jaam bharo ! main nashay main hoon 
Ae saaknan-e-khuld suno ! main nashay main hoon 
Kuch phool khil rahay hain sar-e-shaakh-e-meh'kada 
Tum hi zara yeh phool chuno ! main nashay main hoon 
Thehro ! abhi to subha ka taara hai zu'fishan 
Dekho ! mujhay faraib na do ! main nashay main hoon 
Nasha to mout hai gham-e-hasti ki dhoop main 
Bikhraa kay zulf saath chalo ! main nashay main hoon 
Mela younhi rahay yeh sar-e-rag'guzar-e-zeest 
Ab jaam samnay hi rakho ! main nashay main hoon 
Payal chanak rahi hai nigar-e-khayal ki 
Kuch ehtamam-e-raqs karo ! main nashay main hoon 
Main dag'maga raha hoon biya'ban-e-hosh main 
Meray abhi qareeb raho ! main nashay main hoon 
Hai sirf ik tabasum-e-rangeen bhout mujhay 
"Saghar" badosh lala rukhu ! main nashay main hoon  
No comments:
Post a Comment