Hamari zindagi ki her musafat 
Tumhari raah par lakihi hui hai 
Samandar badalon se poochta hai 
Prinday kis taraf ko jaa rahay hain 
Darakhton kay liye acha nahin hai 
Musafir junglon main bas rahay hain 
Udasi rooh kay andar kahin par
Tumhara naam likh kay rakh gayi hai 
Mohabbat khawab ka bistar bicha kar 
Baray aaram se soi hui hai 
Teri bichri hui khushbu kay saye 
Meray charon taraf phailay huye hain 
No comments:
Post a Comment