Hijar ki raat chor jati hai 
Nit nayi baat chor jati hai 
Ishq chalta hai ta'abad lakin 
Zindagi saath chor jati hai 
Dil biya'bani saath rakhta hai 
Aankh barsaat chor jati hai 
Chah ki ik khasu'siyat hai keh yeh 
Mustaqil maat chor jati hai 
Marhalay is tarah kay bhi hain keh jab 
Zaat ko zaat chor jati hai 
Hijar ka koi na koi pehlu 
Her mulaqaat chor jati hai  
No comments:
Post a Comment