Ik baar hi chahat ki saza kiyon nahin detay 
Zinda hoon to marnay ki dua kiyon nahin detay 
Ik aag jo bujhti na bharakti hai ziada 
Is aag ko daman ki hawa kiyon nahin detay 
Bichray huye lamhay bhi kabhi loat kay aaye 
Bichray huye lamhon ko bhula kiyon nahin detay 
Dariya main pukaray chalay jatay ho hamesha 
Sehraaon main sawan ko sada kiyon nahin detay 
Dekho na kai , yaar bhout khouf'zada hain 
Pal bhar ko chraghon ko bujha kiyon nahin detay 
No comments:
Post a Comment