Tera wajood to mera gumaan doob gaya 
Ufaq main door kahin aasman doob gaya 
Bhari hain jis tarah aankhein hamari ashkon se
Hamein to lagta hai sara jahan doob gaya 
Hawa se raabta karnay ki dair thi aur phir 
Samandron main mera baad'ban doob gaya 
Tera khayal ubharta nahin labon se meray 
Meri pannah main mera sayeban doob gaya 
Yahein kahin koi roya hai baith kar "Farhat"
Yahien kahin tumhara nishan doob gaya 
No comments:
Post a Comment