Us ki aankhon main mohabbat ka sitara ho ga 
Aik din aaye ga woh shakhs hamara ho ga
Tum jahan meray liye seepiyan chunti ho gi 
Woh kisi aur hi duniya ka kinara ho ga 
Zindagi ! ab kay mera naam na shamil karna 
Gar yeh teh hai keh yahi khel dobara ho ga 
Jis kay honay se meri saans chala karti thi 
Kis tarah us kay baghair apna guzara ho ga 
Yeh achanak jo ujaala sa hua jaata hai 
Dil ne chupkay se tera naam pukara ho ga 
Ishq karna hai to din raat ussay sochna hai 
aur kuch zehan main aaya to khasara ho ga 
Yeh jo pani main chala aaya sunehri sa gharoor 
Us ne dariya main kahin paon utara ho ga 
Kon rota hai yahan raat kay sanaton main 
Meray jaisa hi koi hijar ka mara ho ga 
Mujh ko maloom hai joun hi main qadam rakhon ga 
Zindagi tera koi aur kinara ho ga 
Jo meri rooh main badal se garajtay hain Wasi 
Us ne seenay main koi dard utaara ho ga 
Kaam mushkil hai magar jeet hi loon ga us ko 
Meray Mola ka Wasi joun hi ishara ho ga 
No comments:
Post a Comment