Dukh dard kay maron se mera zikar na karna 
Ghar jao to yaron se  mera zikar na karna 
Woh zabat na kar payein gi aankhon kay samandar 
Tum raah'guzaron se mera zikar na karna 
Pholon kay nash-e-man main raha hoon main sada 
Dekho kabhi khaaron se mera zikar na karna 
shayed yeh andheray hi mujhay raah dikhaein 
Ab chand sitaron se mera zikar na karna 
Woh meri kahani ko ghalat rang na dy dain 
Afsana nigaron se mera zikar na karna 
Shayed woh meray haal pe be'sakhata ro dain 
Is baar baharon se mera zikar na karna 
Lay jayein gay gehraai main tum ko bhi baha kar
Dariya kay kinaron se mera zikar na karna 
Woh shakhs milay to ussay her batana 
Tum sirf isharon se mera zikar na karna  
No comments:
Post a Comment