Jo apnay dukh sukh baant sakay hum us ko aurat kehtay hain 
Warna her achi surat ko pathar ki moorat kehtay hain 
Yeh raam janam bhoomi ka lahu , yeh baab'ri masjid ki laashein 
Tum in ko mazhab kehtay ho , hum wehshi siyasat kehtay hain 
Is mulak main hindu , muslim , sikh sab pagal hotay jatay hain 
Mula , pandit , neta , is ko Allah ki rehmat kehtay hain 
Duniya kay ujlay kurtay se hum ne to  jutay poonjh liye 
Woh shair hain jo ruswai ko apni shohrat kehtay hain  
No comments:
Post a Comment