Khumar-e-shab main , ussay main salam kar baitha 
Jo kaam karna tha mujh ko , woh kaam kar baitha 
Qaba-e-zard pehan kar woh bazam main aaya 
Gul-e-hina ko hatheli main thaam kar baitha 
Chupa gaya tha mohabbat ka raaz main to magar 
Woh bhol'pan main sukhan-e-dil ko aam kar baitha 
Jo so kay utha to rasta ujaar lagta tha 
Ponchna tha mujhay manzil pe , shaam kar baitha 
Thakan safar ki badan main shal sa kar gayi be'Munir 
Bura kiya jo safar main qayaam kar baitha 
No comments:
Post a Comment