Saray manzir aik jaisay , sari batein aik si 
Saray din hain aik se aur sari ratein aik si 
Be'nateeja be'samar jung-o-jadal sood-o-ziyan 
Sari jeetein aik jaisi , sari matein aik si 
Sab mulaqaton ka maqsad kar-o-baar zar'garri
Sab ki dehshat aik jaisi , sab ki ghatein aik si 
Ab kisi main aglay waqaton ki wafa baqi nahin 
Sab qabeelay aik se hain ab , sari zaatein aik si 
Aik hi rukh ki aseeri khawab se , shehron ka ab 
In kay matam aik se , in ki baratein aik si 
Hoon agar zer-e-zameen to faida honay ka kya 
Sang-o-gohar aik hain phir sari dhatein aik si 
Ae Munir ! Azad ho is sehar-e-yak'rangi se tu
Ho gaye sab zehar yak'san , sab bana'tein aik si   
No comments:
Post a Comment