Jeewan kay safar main raahi , miltay hain bichar janay ko 
Aur de jatay hain yaadein tanhai main tarpanay ko 
Ro ro kay inhein rahon main khona para ik apnay ko 
Hans hans kay in hi rahon main apnaya tha be'ganay ko 
Ab sath na guzrein gay hum lakin yeh fiza wadi ki 
Dohrati rahay gi barson bhoolay huye afsanay ko 
Tum apni nayi duniya main kho jao paraye ban kar
Jee paye to hum jee lain gay , marnay ki saza panay ko 
No comments:
Post a Comment