Main sahon karb-e-zindagi kab tak 
Rahay aakhir teri kami kab tak 
Kya main aangan main chor doon sona 
Jee jalaye gi chandani kab tak 
Ab faqat yaad reh gayi hai teri 
Ab faqat teri yaad bhi kab tak 
Main bhala apnay hosh main kab tha 
Mujh ko duniya pukarti kab tak 
Khaima-gah-e-shumaal main ..... aakhir 
Us ki khushbu rachi basi kab tak 
Ab to bas aap se gila hai yeh hi 
Yaad ayein gay aap hi kab tak 
Marnay walo zara batao to 
Rahay gi yeh chala chali kab tak 
Jis ki tooti thi saans aakhir-e-shab 
Dafan woh aarzu hui kab tak 
Dozakh-e-zaat ba'wajood teray 
Shab-e-furqat nahin jali kab tak 
Apnay choray huye mohallon par 
Raha doraan-e-jaan kani kab tak 
Nahin maloom meray aanay par 
Us kay koochay main lu chali kab tak 
No comments:
Post a Comment