Lafz bhi koi uss ka saath na deta tha 
Jaisay koi wasal ki raat ka qissa tha 
Basti kay uss paar kahin par raat dhalay 
Lambi cheekh kay baad koi sanata tha 
Jis ko apna ghar samjhay thay woh to mehz 
Dewarein thein aur un main darwaza tha 
Hum ne ussay bhi lafzon main zanjeer kiya 
Badal jaisa jo awara phirta tha 
Manzil ko sar karnay walay logon ne 
Raston ka bhi her andesha daikha tha 
Kaisay din hain uss ka chehra daikh kay hum 
Soch rahay hain pehlay kahan pe daikha tha

No comments:
Post a Comment