Palat kar phir kabhi uss ne pukara hi nahin hai 
Woh jis ki yaad se dil ko kinara hi nahin hai 
Mohabbat khel aisa to nahin hum loat jayein 
Keh iss main jeet bhi ho gi khasara hi nahin hai 
Kabhi woh jugnu'on ko muthiyon main qaid karna 
Magar ab to hamein yeh sab gawara hi nahin hai 
Ab uss kay khaal-o-khad ka zikar kya kartay kisi se 
Keh hum par aaj tak woh aashkaara hi nahin hai 
Yeh khawaish thi keh hum kuch door tak saath chaltay 
Sitaron ka magar koi ishara hi nahin hai 
Bhout se zakham khaye dil ne aakhir teh kiya hai 
Tumharay shaher main apna guzara hi nahin hai 


No comments:
Post a Comment