Kabhi jo ehad-e-wafa meri jaan teray meray darmiyan tootay 
Main chahata hoon keh uss se pehlay zameen pe yeh aasman tootay 
Teri judai main hoslon ki shakist dil pe azaab thehri 
Keh jaisay munh'zor zal'zalon ki dhamak se koi chitaan tootay 
Ussay yaqeen tha keh uss ko marna hai phir bhi khawaish thi uss kau dil main 
Keh teer chalnay se paish'tar hi dast-e-dushmana main kamaan tootay 
Woh sang hai to girray bhi dil par woh aaina hai to chubh hi jaye 
Kahin to mera yaqeen bikhray , kahin to mera gumaan tootay 
Ujaar pan ki udaas rutt main ghazal to Mohsin ne chairr di hai 
Kissay khabar hai keh kis kay masoom dil pe ab kay yeh taan tootay  


No comments:
Post a Comment