Khuli aankon main sapna jhaankta hai 
Woh soya hai keh kuch kuch jaagta hai 
Teri chahat kay bheegay junglon main 
Meri tan mor ban kay naachta hai 
Mujhay her kaifiyat main kiyon na samjhay 
Woh meray sab hawalay jaanta hai 
Main us ki das'taras main hoon magar woh 
Mujhay meri raza se maangta hai 
Kisi kay dhiyaan main dooba hua dil 
Bahanay se mujhay bhi taalta hai 
Sarak ko chor kar chalna paray ga 
Keh meray ghar ka kaccha rasta hai

No comments:
Post a Comment