Misal-e-barg main khud ko urana chahti hoon
Hawa-e-tund pe maskan bana'na chahti hoon 
Woh jin ki aankhon main hota hai zindagi main malaal 
Usi qabeelay se khud ko milaana chahti hoon 
Jahan kay band hain , sadiyon se mujh pe darwaze 
Main ik baar usi ghar main jaana chahti hoon 
Sitam sha'aar ki chokhat pe adal ki zanjeer
Bara'ey daad rasi ab hilana chahti hoon 
Na'janay kaisay guzaron gi hijar ki saa'at 
Gharri ko tor kay sab bhool jaana chahti hoon 
Musafaton ko mili Manzil-e-talab "Naina"
Wafa ki raah main apna thikaana chahti hoon 

No comments:
Post a Comment