Hum safar choot gaye raah guzar kay ham'raah 
Koi manzar na chala deeda-e-tar kay ham'raah 
Aisa lagta hai keh pairon se lipit ayi hai 
Aik zanjeer bhi asbaab-e-safar kay ham'raah 
Itna mushkil to na tha mera palatna lakin 
Yaad aa jatay hain rastay bhi to ghar kay hamraah 
Kis se tasdeeq karoon shaher ki barbaadi ki 
Ab to qasad bhi nahin hotay khabar kay ham'raah 
Hum ne jungle main bi peechay nahin murr kar dekha 
Kiya ajab azam baanda rikhat-e-safar kay ham'raah  
Parveen Shakir
Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment