Ik na ik din to rukhsat karta 
Mujh se kitni hi mohabbat karta 
Sab ruttain aa kay chali jaati hain 
Mousam-e-gham bhi to hijrat karta 
Bhairiye (Wolfs) mujh ko kahan paa saktay 
Woh agar meri hifazat karta 
Meray lehjay main ghroor aya tha 
Us ko haq tha keh shikayat karta 
Kuch to thi meri khatta , warna woh kiyon 
Is tarah tark-e-rafaqat karta 
Aur us se na rahi koi talab 
Bas meray pyaar ki izzat karta 
Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment