Mera sochna teri zaat tak 
Meri gutagoo teri baat tak 
Na tum milo jo kabhi mujhay 
Mera dhoondna tujhay paar tak 
Main ne apna sab kuch ganwa diya 
Teri nafrat se pyaar tak 
Kabhi fursatein jo milain to aa 
Meri zindagi kay hisaar tak 
Main ne jaana keh main kuch nahin 
Tere pehlay se tere baad tak
No comments:
Post a Comment