Hum ne kaati hain teri yaad main raatein aksar 
Dil se guzri hain sitaron ki baratein aksar 
Ishq raah'zan na sahi , ishq kay hathon phir bhi
Hum ne lut'ti hui dekhi hain baratein aksar 
Hum se ik baar bhi jeeta hai , na jeetay ga koi 
Woh to hum jaan kay khaa letay hain maatein aksar 
Un se poocho kabhi chehray bhi parhay hain tum ne 
Jo kitabon ki kiya kartay hain baatein aksar 
Hum ne tund hawaon main jalaye hain chragh 
Jin hawaon ne ulat di hain bisaatein aksar 
Aur to koi nahin hai jo mujh ko tasali deta 
Haath rakh deti hai dil par teri yaadain aksar 
Haal kehna hai kisi se to mukhatab hai koi 
Kitni dil'chasp hua karti hain baatein aksar 
No comments:
Post a Comment